टुटा हुआ दिल । इस विडयो को जारुर देखे click here
Ye ek sachi kahani hai - read must ek chhota
bachha jo ki umar me 6 ya 7 saal ka
hoga, ek dukan ke samne khada tha. Usne dukan
dar se kuch kaha our dukan dar neuse mana kar
diya.
Fir wo ladka dukan se thodi dur khada hoke kabhi apni pocket me hath marta our kabhi dukan me
rakhi ek gudiya ( doll ) ko dekhta. Ye silsila karib
15 minute chala .
Dur khade ek admi bahut der se usbache ko dekh
raha tha.
Usne socha kya manjra hai jara pata lagaun jaise hi admi age badha , ladka dukandar ke paas ja
ke bola mere paas itne hi paise hai. In paiso se ye
gudiya kharidi nahi jaa sakti kya ?
Dukhandar bola nahi.
Fie wo ladka dukhi hoke piche muda our us admi
se pucha uncle sach me ye paiso segudiya nahi milegi ?vastav me paise bahut kam the. So us
admine kaha nahi beta tumahre paas paryapt paise
nahi hai.
Ladka dukhi hoke age badhne laga.
Fir us admine pucha tumhe wohi gudiya kyun
chahiye beta ? Ladka bola : meri bahen ko gudiya bahut pasand
hai. Ye gudiya mai meri bahen ko janam din par
gift dena chahta hu.
Me ye gudiya meri maa ko dunga taki wo jab meri
behen ke pas jaye to wo use de degi. Admi ne
pucha : tumhari behen kaha rahti hai ? Ladka : meri behen Bhagwan ke paas rehti hai. Our
papa kehete hai bahut jald meri maa bhi bhagwan
ke paas chali jaye gi. Us admi ke ankhome ansu
aagaye lekin bacha
bolte hi jaa rahatha. Me papa se kahunga maa our
kuch din late kar ke jaye taki mai our paise jama kar saku. Our gudiya
kharid saku. Us admi ka dil bhar gaya our usne
apni pocket se
100 rs ka ek note nikal ke us bache ko kaha
dikhao beta zara fir s tumhare paise ginenge sayad
in pasiso se wo gudiay aajaye. Admine paise ginne ka bahana kiya our kaha are
tumhare paas to bahu paise hai. Gudiya aajayega.
Fir usne dukan dar ko 100 rs deke us bache ke liye
wo gudiya khareed diya. Bachha thanx bola our
kaha meri maa ko safed
gulab bhi bahut pasand hai . Our wo apni pocket se ek photo nikala our kaha ye mera photo hai.
Sachmuch bacha photo me bahut sundar lag
rahatha. Bachha bola mai ye photoapni maa ko
dunga taki
wo meri behen ko de degi .our meri behen ye
photo dekh ke mujhe humesha yaad karegi. Admi ke ankho se ansu aagaye bt wo apne apko
sambhalte huye us bache ko vidai diya our kaha
beta apna khyal rakhna. Fir admi apne ghar chala
gaya. Lekin us admiko
raat bhar neend nahi huyi. Fir achhanak use yaad
aya 5 din pahle news paper me chhapi thi ek daaru ke nashe me dhut ladke ne car chalate huye ek
scooter wale ko udadiya. Jaha mouke par hi
scooter wale ki chhoti ladki ka death ho gaya our
wife ko gahri chot aayi hai.
Usne socha kahi ye us bache ki maa bahen to
nahi ? Ye sochte huye subah ho gayi our usne news papre me padha ki accedent me usaurat ka bhi
death ho gaya hai. Admi sach janane keliye wo
adress pe gaya to
dekha sachmuch us bache ki maa mar gayi thi . Our
uski lash ghar ke bahar rakha hua tha. Lash ke sine
me wohi gudiya thi. Ek hath me Gulab ka phul our dusre hath me bache ka photo tha.Our dur kone
me ladka apni ek rishte daar ke
bahon me tha.
Ye manjar dekh ke admi ke ankho se ansuon ka
sailan toot pada. Wo apne apko rok nahi paya our
khade khade rone laga. Ye kahani likhte wakht mere ankho me bhi aansu
hai. Agar pake ankhe bhi ye padkegili hui ho to
aj sapath karo Ki kabhi daaru pee ke gadi nahi
chalaoge. Kabhi head phone laga ke bike nahi
chalaoge. our kabhi phone me baat karte huye
motorcycle nahi chalaoge. Dusro ki ya apni ho Zindegi anmol hai dosto. Usko
nasha ya care less ho kar kabhi mat khona.
Achha laga to ek like And Share jarur karna
0 comments:
Post a Comment